kulhad supply business , kulhad business , kulhad selling business , kulhad business online , kulhad supply business ,bigprofile.in

Single Use Plastic Ban Hone ke badd Daily 10k Income Wala Business – Kulhad Supply Business

Pollution ek aisa matter hai jo kitne saalo tak government ki policies me band raha . Iski wajah se lakho pedo ko kata gaya aur natural resources ko bhi bahut si problems environment hui . Clean India banane ke liye government ne bahut si policies issue ki jisme Swacch Bharat Mission / Toilet Making scheme aur Polybag aur Swachta Sarvekshan jaise kai programs chalaye gaye. In programs se kai hadd tak pollution me sudhar aya lekin government ke liye agla challenge hai Single Use plastic ko band krna aur is se hone wale pollution ko bhi control krna .

India me government ki latest policy ke according Single Use Plastic ban kr diya hai jisme sabhi polybags manufacturing units aur paper cups paper plates sabhi ko ban kr diya gaya hai . Is policy ke according bahut se business ko nuksan hua hai par on the positive side kuch business ideas ko lekar is policy me experiments bhi kie ja rahe hai .

Single use plastic ke business ke alternative me daily use hone wale paper cups aur paper plates ko bhi BAN kr diya gaya hai jo ki new renewable hai aur inko decompose krna bahut mukshil hai . Iske alternative me is article me ek aise business ke baar me btaenge jo ki ap karke daily 5k to 10k earning kr skte hai . Kulhad business – Sand cup making business is ke baare me is article me acche se padhe ki kaise ap ye business shuru krke acche paise kama skte hai .

Single Use plastic policy kya hai ?

1 July se India me Single Use Plastic jaise PVC Banner , plastic cup plates , spoons , cigrette packs , invitation cards etc jo bhi sabhi plastic ke one time use hone wale products hai jo 100 micron se kam motai ke bane hai sab ko BAN kr diaya gaya hai . Agar 1 july ke bad in products ko use krta hua ya sale krta hua koi bhi milta hai to use 1 lakh ya us se jyada ka jurmana dena hoga aur 6 months se 5 saal ki jail bhi ho skti hai .

Single use plastic ban se new business opportunity kya hai ?

Single USE plastic ke BAN hone ke bad sabhi plastic bag business aur plastic product banane wale users ka business ab band ho chuka hai jiske alternative me wo alag alag business ko lekar samne arahe hai . Is policy ke announce hone ke bad India me ye business promote kie ja rahe hai :

  1. Paper Cups ( Not of Plastic or Thermocol )
  2. Organic Polybags
  3. Jute polybags
  4. Cotton Carry Bags
  5. Cardboard small boxes
  6. Double Side Tapes etc

Ab in products ke alawa packing aur decoration me use hone wale products ka paper alternative banakar bhi business shuru kr skte hai .

Kulhad Business kya hai ?

Plastic Paper cups ke ban hone ke bad India me sand aur paper made products ki demand bad gayi hai . Chai aur coffee lovers ke liye ye mushkil hogaya tha ki ab wo tea or coffee kaise carry karenge aur is se chote tea stalls ko bhi nuksan hona shuru hogaya hai .

Iske alternative me kai business sand made utensils ke ideas ke sath apna business shuru kr chuke hai jisme Tea or coffee carry krne ke liye Kulhad ka business bahut tezi se chal raha hai . Kulhad sand cups ko kaha jata hai jisme coffee or tea serve ki jati hai . Ye recyclable hote hai aur inka price bhi bahut kam hota hai. Kulhad business me ap Sand cups ko outsource krke ya apni location me banakar bech skte hai jis se ap acche paise kama skte hai .

Kulhad business se tax free income kaise hoti hai ?

Kulhad ek natural item hai aur ek recyclable product hai jise tod kar dubara se banaya ja skta hai. Kulhad ka istamal ancient time me kia jata tha aur iski health benefits bhi bahut jyda hai jiski wajah se iski demand aur bad rahi hai . Agar ap Kulhad business shuru krte hai to apko iski sale par koi tax nahi dena hota kyoki is business se artisans ki income raise hoti hai aur according to government tax rules Kulhad ke business ko tax free rakha gaya hai .

Kulhad business se income kaise hoti hai ?

Kulhad Business ek rural household based business model hai jisme ap artisans aur sand modelers ko appoint krke unse contract base par kulhad ya sand cups banwa skte hai . Normal cups ke sath sath isme artistic cups ko bhi ache price point par becha ja skta hai.

Plastic ban hone ke bad , Kulhad business me sbse jyada income oppurtunity milti hai Tea stalls or street drink vendors ko supply krne me jisme apko bulk orders mil jate hai . Wahi ap tourist aur special drinks ke liye artisitic kulhad bhi design kr skte hai jiske liye ap customer se extra bhi charge kr skte hai .

Kulhad business ko online bhi kiya ja skta hai , bas apko isme delivery ke time par handling aur packing ka dhyaan rakhna hoga .

Kulhad business models kaise hote hai ?

Kulhad Business ko shuru krke ap acchi income kr skte hai aur kyoki India ek regional society hai to as per demand , apko orders milne ke bhi chances bad jate hai . Baat kare ki apko Kulhad business ke kis model me income hoti hai to uske liye apko samajhna hoga ki ap Kulhad business ko kitni tarike se operate kr skte hai :

  1. Online Kulhad Selling
  2. Artistic Kulhad Selling
  3. Special Design Kulhad
  4. Normal Kulhad for Tea Stalls Seller / Supplier
  5. Kulhad Packing and Suppliers

Ap in models me se alag , Kulhad banakar coffee shops aur restaurants ko bhi supply kr skte hai .

Must Read : Become Tempo Driver and Earn Daily with LYNK Partner Program

Kulhad business se kitna earn kr skte hai ?

Kulhad business ke zero investment business hai . Agar ap ise branding ke sath krte hai to ap is business ko ek entity registration krke aur kulhad me unique designs aur artefacts dal kar ise online ya offline sale kr skte hai. Is business se ap monthly 10 se  30 hazaar rupaye kama skte hai .

Retail ki baat kare to apko Kulhad business ki retail me jyada profit nahi milta hai to apke liye yahi advisory hai ki iske liye ap Wholesale buyer ya distributor banna hi sahi rahega. Agar ap is business se jude kisi tarah ke sawal puchma chahte hai to ap hame niche comment section me bta skte hai .

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *