fish farming business , fish farming loan , fish farming ke liye loan , fish farming business , bigprofile.in

Fish Farming ke liye Loan Kaise le aur Fish Farming Business Kaise Kare

Fish Farming or Fish Palan ek popular business category hai jisme coastal areas se lekar sabhi small business man or traders is business me ana chahte hai . Lekin unke liye sabse mushkil hoti hai ye janna ki wo Fish Business kaise kr skte hai , is business me kitna investment hota hai aur Fish Palan ka business krne ke liye loan kaise le skte hai etc aise bahut se sawaal hai jo apke mann me bhi as a entreprenuer arahe honge.

Corona hone ke bad sabhi business me bahut jyada problems ai jisme logo ne bahut se digital startups shuru kiye aur health se related businesses ne bhi is samay ka bahut benefit liye . Sath hi baat kare fish farming business ki to ye health or immunity boost krne ke liye India me fish ki demand bahut jyada dekhi gayi .

Fish Farming ka business ko dairy se related business bhi kaha jata hai aur is business ko krne ke liye kuch minimum requirements hoti hai . Agar ap digital ek fish supply chain banana chahte hai ya ek chote scale par fish selling ya wholesale business krna chahte hai to apko is article me btaya gaya hai ki kaise ap Fish business shuru krne ke liye loan kaise le skte hai aur India me apna fish farming ka business kaise kr skte hai .

Fish farming ka business kya hai ?

Fish farming ka basic meaning hota hai alag alag breed or looks fishes ko grow krna . Jydatar is business me un fishes ko grow kiya jata hai jinki jyada market me demand hai or jinki supply apke area me bahut kam hai . Fish ko dekha jaye bahut chizo ke liye use kiya jata hai jaise fish ko high protein or iron source mana jata hai jiski wajah se bahut si food cuisines me ise liye jata hai . Wahi par fish demand alag alag pharma industries me bhi hoti hai jisme wo fish ka istamal medicines me use krte hai .

Fish Farming ko aur bhi jyada promote krne ke liye government bahut se credit schemes or loan schemes bhi deti hai jis se log apne fish farming business ko shuru kar sake aur fish ki demand ko pura kr sake .

Also read : List of Top Motorcycle Accident Attorney Knoxville Tn

Fish Farming ka business kaise kare ?

Fish Farming ka business agar ap shuru krte hai to uski main requirement hoti hai ki apke pas kam se kam 1 acre land ho jisme ap ek acche Fish farm yani water body bana sake aur usme alag alag breed ki fish ko grow kar sake . Ap apne area me se fish grow karke accordingly fish ki sustainability ke liye environment create kr skte hai , water clearner pump install kr skte hai aur fish food bhi de skte hai jis se apka fish farming ka businness or bhi jaldi grow krta hai .

Fish farming ko shuru krne ke liye apko apne farm par kuch breeds ki fish grow kr skte hai . Fish supply ki baat kare to demand ke according ap alag alag breed ki fish ko supply kr skte hai jisme fish demand ke according ap in areas me inko supply kr skte hai :

  1. Fish Food Restaurants
  2. Sea Food Hotels
  3. Medicine Industries Supply
  4. Fish Stalls Supply
  5. Fish Lovers
  6. Home Decorators etc

Fish ke business ke liye ap alag alag tarike se apni fish ko apne fish farming business me grow kr skte hai jaise :

  1. Biofloc Fish Farming
  2. Acquaponic Fish Farming
  3. Recirculating Agriculture System
  4. Catfish Farming
  5. Tilapia Fish Farming
  6. Ras Fish Farming
  7. Ornamental Fish Farming etc

Also read : Become Tempo Driver and Earn Daily with LYNK Partner Program

Fish Faming ke baare me janne ke liye ap is video ko bhi dekh sktehai :

Fish Farming ke liye loan kaise len ?

Agar ap ek fish farming business start krne ke baare me soch rahe hai to apke liye sbse jruri hai ye janna ki ap kitni investment me apna farm shuru krna chahte hai . Agar is business ki baat kare to apko regular water supply or fish care medicines ki bhi jrurat pdti hai . To overall agar minimum requirement ki baat kare to fish farming krne ke liye apko kam se kam investment Rs 1 lakh ki chahiye hoti hai , is se alag ap apna working capital fish growth se daily sales or supply krke bhi kr skte hai .

Baat ati hai agar ap ise bigger scale par krna chahte hai to kai saare Government credit schemes or bank loan options hai jis se ap loan lekar fish farming shuru kr skte hai . Agar government scheme ki baat kare to ap Fish farming ke liye loan government ki PMMSY ( Pradhan Mantri Matsya Sampada Yojana ) ke ander loan le skte hai aur https://www.fidf.in/ ki madad se apni ek complete water body ka setup ap kr skte hai .

Baat kare private banks or public banks ki to ap as per Bank requirements business loan ke liye bank se apply kr skte hai under PMMSY Scheme . Is scheme me apply krne ke liye ap is video ko follow kr skte hai .

Also read : Make your Salary Extreme Working as a Partime or Full Time Employee with Nurture Partner Program App

Fish Farming ke liye loan kitne interest par milta hai ?

India me blue revolution ko promote krne ke liye aur entreprenuers ko Fish farming business ke baare me jyada aware krne ke liye Government ne PMMSSY Yojana shuru ki thi . Government ne is scheme me assure kia hai ki basic investment jo kisi bhi fish farmer hi hoti hai wo land me hoti hai aur water bodies develop krne me hoti hai jisme government is scheme me puri investment finance krti hai water bodies bhi allot krti hai .

Agar private or public banks ki baat kare to ye loan sabhi fish farmers ya water bodies ke owner ko banks se lag bhag 10 percent ya us se jyada me mil jata hai par ek normal business loan se bahut kam rate par milta hai . Isme hypothetication ke liye bank loan se created asset ko hi apko bank par mortgage krna hota hai aur apko kam interest par loan mil jata hai .

Also read : Qatar Work Visa Kaise Milta hai – Qatar Visa India se Kaise Apply Kare

Fish Farming ke liye loan kaha se le skte hai ?

Fish Farming ke liye bank loan ap private aur public banks se le skte hai . Agar ap government scheme me subsidised fish farming loan lena chahte hai to ap in banks ke terms pad kar loan ke liye apply kr skte hai :

  1. Axis Bank Loan 
  2. Union Bank Loan 
  3. Bank of Baroda Fisheries Loan 
  4. PNB Fish Farming Loan 

Fish Farming ko shuru krne ke liye apko basic fish management equipments , water connection or food supplies ki jrurat pdti hai . Loan lene ke bad ap PMSSY Scheme customer support me call krke bhi is business ke baare me jyada jankari le skte hai .

Agar ap Fish farming business krna chahte hai ya is se jude apke kuch sawaal hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai . 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *