Qatar work visa , qatar visa apply , qatar visa status check online , QATAR VISA FEES , Qatar embassy india, bigprofile.in

Qatar Work Visa Kaise Milta hai – Qatar Visa India se Kaise Apply Kare

India me bahut se aise log hai jo Dubai or Qatar jane ki iccha rakhte hai kyoji sbse jyada work oppurtunties skilled workers ko Qatar me mil jati hai . Kyoki Qatar me apko acchi income ho jati hai isliye Qatar Work Visa ki demand India me bad rahi hai . Aur jo bhi log Qatar ka Work Visa ya travelling visa lena chahte hai unhe knowledge nahi hoti ki wo kaise ise apply kare . Visa apply krne ke liye jo bahut stereotype baat hogai hai ki apko sirf travelling agent ko consult krna hota hai jis se wo apko Visa dilane me help krte hai . Par sochne ki baat hai kya apko Qatar Visa ke liye kisi agent ki hi jrurat hai ya ap khud bhi use apply kr skte hai ya nahi ?

Jyadatar dekha gaya hai ki agar ap Qatar me job ke liye apply krte hai to ap online job platforms se online apply kr skte hai alag alag compane me job ke liye . Jab apka selection hota hai to apko company se contact kiya jata hai aur job ke liye company ya wo firm jo apko appoint krti hai apko Work Visa lene me help krti hai.

Agar ap janna chahte hai ki kaise ap Online Qatar Visa ya Qatar Work Visa apply kr skte hai aur iske liye kya documents or kitne paise kharch hote hai sab apko is article me samjhaya gaya hai .

Online Qatar Visa Application kaise milta hai ?

Agar simple bhasha me baat kare to COVID Situations ke bad VISA policies ko lekar Qatar Government bahut jyada strict ho gai jisme online application process ko Qatar Visa apply krne ke liye rok diya gaya . Agar koi new applicant Qatar me Work or travel visa ke liye apply krna chahta hai to uske liye offline process rakha gaya hai jisme applicant ko apne country based ambassy me jakar application form submit krna hota hai . India Qatar Visa Apply form or application ko submit krne ke liye ap is process ko follow kr skte hai :

  1. Agar ap Delhi se hai ya nearby kisi state se hai to ap is Qatar Embassy India Official website se check kr skte hai ki apki location se embassy kaha hoti hai .
  2. Ap Embassy me jakar inke official working hours 9  to 12 me apna application form V1 lekar submit kr skte hai .
  3. Iske liye apko sabhi specific documents chahiye honge jisme apko kam se kam Aadhaar Card , Bank Account proofs , PAN Card proofs, Passport proof etc apko sabhi required documents as per your nationality or financial wealth or reason for visa apko submit krne honge.
  4. Ap Tourist Visa ke liye apply kr skte hai jisme ap apne Work background ko check krne ke bad Normal Visa ke liye apply kr skte hai . Iske liye apko kam se kam 200 QR Currency fees bharnhi hoti hai .

Also read : Single Use Plastic Ban Hone ke badd Daily 10k Income Wala Business – Kulhad Supply Business

Qatar Work Permit ka kya mtlb hai aur kaise milta hai ?

Qatar Work Visa apply krne ke liye jruri hai ki apke pas apke recruiter ka hiring certificate ya joining letter hona chahiye . Agar ap Work Visa ke liye apply krte hai to usme apke recruiter ki information ka bhi use kiya jata hai apko Visa approval dene ke liye . Agar ap Qatar ka Work Visa apply krna chahte hai to ap is process ko follow kr skte hai :

  1. Qatar embassy se ap Work Visa Form V1 le len aur use acche se fill kare.
  2. Btaye gaye sabhi documents ko apne application form me include kare .
  3. Work permit ke liye Hiring document or Joining Letter jrur include kare .
  4. Passport Size photos apni application me jrur include kare
  5. Passport ki validity ko check karwaye .
  6. Apne financial documents or wealth ki details embassy agent ko btaye .
  7. Application ko embassy me submit kare.

Jaise hi ap embassy me QATAR Work Visa application submit krte hai to uske bad ap Qatar ki official website par apna VISA Application form ka status check kr skte hai . Iske liye apko specific timeline embassy me bta di jaegi .

Also read : Bank of Maharashtra ka Credit Card Kaise Apply Karna hai aur Cancel Kaise krna hai

Qatar Visa Approval Status Kaise Check Krte hai ?

Online Qatar Visa Application submit krne ke bad apki sabhi details Qatar Visa department ke pass forward kr di jati hai jisme apki application ko approve or kuch reasons ki wajah se reject kr diya jata hai . Ap reject ke reason ko check krke apne applications ko resubmit kr skte hai . Agar ap apna Qatar Visa status check krna chahte hai to ap is process ko follow kare :

  1. Qatar Work Visa status check ke liye Qatar Visa Website par jaaye .
  2. Form me apko apna passport number ya apna Visa application number dal dena hai
  3. Click Submit .

Apko screen par apna approval or reject status website par dikha diya jaega. Agar apki application me koi problem hogi to ap use resolve krke Embassy me apni application dubara se submit kr skte hai .

Qatar Visa Online Print or Download kaise krte hai ?

Qatar Visa approval hone ke bad ap apne Visa ke documents bhi embassy se collect kr skte hai . Jyatar cases me agar ap Visa lene me kisi agent ki help lete hai to ap Visa documents or apki complete visit ki planning agent dwara de di jati hai . Lekin agar ap khud se Qatar Work Permit Visa ke liye apply krte hai to apko approval milne ke bad sabhi documents embassy se apke home address or application address par by post bhej diye jaate hai .

Agar ap apna Visa approval status check krna chahte hai to online ap Qatar Visa Status Check Website ke check kr skte hai .

Also read : Tiffin Service Ka kam Krke Kaise Daily 10 se 20 Hazaar Kaise Kama Skte hai ?

Qatar Visa lene ke liye Qatar Center ki madad kaise len ?

Agar ap khud se Qatar Visa ke liye application form bharte hai aur janna chahte hai ki kaise ap apne Visa ke liye online approval le skte hai to iske liye Qatar embassy helpline se bhi madad le skte hai . Qatar Visa helpline me ye apko complete support dete hai ki kaise ap apna application form bharte hai aur apke application ka kya status chal raha hai .

Embassy me baat krne ke liye ap in numbers or contact points par check kr skte hai :

Qatar Embassy Number :  +911126117988

Qatar Embassy in India : Embassy of the State of Qatar
EP – 31 A
Chandragupta Marg
Chanakyapuri
New Delhi – 110021
Republic of India

Email : newdelhi@mofa.gov.qa

Agar ap Qatar Work Visa ya Work permit se related ya is post se related kuch bhi puchna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai . 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *