kodular app development , app making , app monetising , kodular admob , admob earning , bigprofile.in

Monetise your app with Admob Ads and App Making with Kodular Platform

Their are more than 100 ways to earn money online on Internet , but their is not such shortcut to earn good or more . Untill you have some talent or some knowledge about something , you will not be able to generate good income online . If you want to earn online you can either start your own blog , do affiliate market , do freelancing like writing content for someone , editing photos or videos or any thing which you have interest in and the other person requires that . An interesting way to earn money is by showing adverstiments on your app and getting paid either weekly or monthly at your convieniene. But this too requires some learning and some time to spent for learning.

If you want to make your own app and know how people get to earn good money online by creative and artistic app then do read this post carefully , ill be guiding you all through out the process of making your own app , the software you will be using to make that app and monetising it through a special platform.

Making Android App : No More a Developer Thing !

Phle android app banana bhot muskhil tha kyoki phle kisi ke pas ye bhi motivation nhi thi ki jo app m banane ja raha hu phle to wo mujhe returns kaise dega , dusra ye bhot basic mana  jata tha ki agar mobile app banega to kis chiz se bnega . Ap chahe to youtube par check kr skte hai ki 2015 se phle koi b developer ek khas software me hi app bnata tha jiska nam h Android Studio. Ye google ka app developer app h jisme agar apko coding ki achi knowledge hai to ap isme apne hisab se app bana skte hai par isme hmesha se ye problem rhi ki is app me kam krne ke kam se kam 5 se 6 saal ki training aur knowledge chahiye wo aj ke youngsters ke pas bilkul nhi hai . Badti population ke sath berozgaari bhi bad rhi h hai jisme apko apne liye job ki jagah jald se jald dhundni hogi .

Ab baat kare app development ki to apko bas Google par type krna hai Kodular – App developlment platform . Ye ek online app developer platform h jis par ap thodi blocks ki samajh lekar koi b app develop kr skte hai . Bas apko iski knowledge lene ke liye thoda time khud ko Youtube pe dena hoga aur sirf 10 ya 12 videos me Kodular ka course kar lena h is app me ap sidha bina coding ke ek professional app bana skte hai.

Testing App and Essentials to Know !

Kodular me app development krne ke bad ap ko usme dhyan rakhna hai apne package name ka aur app ke naming ka kyoki whi apko playstore console me us app ko list krne me madad krega .  Kodular se app ko design aur blocks coding krne ke bad apko usme ads place krni hoti hai . Ads dalne ke liye apko isi post me niche kuch platforms btaye gaye hai jis me se app ads lagakar apne app ko monetise kr skte hai. Par abhi baat kare app ki to ek basic design me apke app ke andar :

  • Basic Static Menu
  • Home Page
  • Action Page
  • Exit Action
  • Privacy Policy

Ye sab features hona jruri hai . Agar ap ek app kodular me create kr lete hai , ap chahe to kisi simple app se bhi shuru kr skte hai . Bas apko dhyan rakhna hai ki apko apne app ki baar baar testing alag alag smartphone me krni hogi taki usme koi b problem ho to apka app monetisation me reject na hojae . Lekin reject hone ke baad bhi apko nirash nhi hona hai aur galti se sikhna hai.

Monetizing Platform to Choose !

Ap apne application ko bhot se tariko se monetise kr skte hai , jaise agar ap simple ad revenue chahte hai to ap Admob Ads Network me apply kr skte hai , is network me agar apka app Google Playstore par hai to ap use monetise kr skte hai . Playstore pe hone ka matlb hai ki apko ek google play console kharidna hota hai aur apne ap ko us par list krna hota hai taki apka app Admob se approve hojae aur usme ads dikhne lage. Lekin agar ap Admob ads nhi use krna chahte to isme aur bhi tarike hai App ko monetise krne ke :

  • Offer Wall Lagana
  • Affiliate Product Selling Krna
  • Services Sell Krna
  • Advertisement Package Sell Krna etc

Ye sirf apko kuch hi tarike btaye gaye hai lekin apko ye dhyan rakhna hai ki apke app ki look jitni achi hogi aur uske features jitne bdiya honge tabhi apke app ke downloads badenge aur ap use jaldi se monetise krwa payenge.

Things to Know !

App ko bnane aur monetise krne me apko kisi ko koi paise nhi dene hote , lekin agar ap kisi se app banwate hai to apke kam se kam 10 se 15 hazaar ya us se jyada kharcha b ajata hai . Uske sath apko use playstore ki listing me add krne ke liye Google Play Console Buy Krna padta hai jiski fees lag bhag 2000 rupaye tk hoti hai.

Mobile app ko bnane me apko kuch time to invest krna padta hai aur apke bnaye hue app me kuch productivity honi jruri hai , jaise agar apka app ek calculator hai to usme calculation honi chahiye , ya agar wo body movement meter hai to usme body ki movement rate show hona chahuye , iska mtlb hai ki us app me kuch action hona chahiye .

Agar ap admob ki ads use krte hai to apko montly payout uska har mahine ki 21 tarik ko mil jata hai .

Also read : MicroTek OxyMeter , Best Pick under 2000 : Best Oxymeters in India

Hope , you liked this post and if you want to make your own app or need help with making an app or in app monetisation , you comment down in the comment section ,we shall guide you free of cost .

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *