bank of maharashtra credit card , bank of maharashtra credit card apply , bank of maharashtra credit card helpline , bank of maharashtra cancel , bank of maharashtra apply process, bigprofile

Bank of Maharashtra ka Credit Card Kaise Apply Karna hai aur Cancel Kaise krna hai

Credit card ko bahut baar socha jata hai ki iska istamal sirf rich logo dwara kia jata hai lekin sach baat to ye hai ki Credit ki jyadatar middle class person ke kam ata hai . Credit card bank ka ek aisa credit tool hai jis se kisi bhi middle class insaan ko bank se emergency me funds lene me help krta hai aur us par interest ka pressure bhi nahi dalta . Credit card users ko help krta hai cashless shopping krne me aur apni jarurat par bank se instant funds credit par lene me .

India me sabse jyada credit cards job persons aur employees ke dwara apply kia jata hai kyoki wo salary base work karte hai aur daily expenditure needs ko meet krne ke liye Credit card ka istamal krte hai . Isme apko ek particular rate of interest par apne use kie gaye funds par pay krne hote hai aur banks se apko ek particular date milti hai bank ko uske funds plus interest ke sath wapas krne ke liye .

Agar ap Bank of Maharashtra ke customer hai ya ap Bank of Maharashtra ke credit card ko apply krna chahte hai to apko is article me clear samjhaya jaega ki kaise ap Bank of Maharastra se Credit card apply kr skte hai aur nill usage hone par ise cancel kaise kr skte hai .

Bank of Maharashtra Credit Card ke kya fayde hai ?

Bank of Maharashtra ki credit card service ek bahut hi popular service hai kyoki is Credit card se apko online shopping ke liye bahut se payment options mil jate hai aur apko prompt repayment me bhi acche discount offers mil jaate hai . Credit Card of Bank of Maharashtra lene ke apko bahut se fayde hote hai :

  1. Apko bank me ek regular customer hone ki jarurat nhi hai ap bina account holding ke bhi Credit card apply kr skte hai .
  2. Har shopping pe apko reward points milte hai jise ap apni next shopping deals par redeem kr skte hai .
  3. Is Card ko use krne se apko Fuel charges me bhi discount milta hai jisme apko Fuel par service charge pay nhi krna hota .
  4. Is Card ko lene se apko benefit milta hai Zero liability ka jab apka card lost ho jata hai to bank ko report krne ke bad se koi b transaction hoti hai to use ke liye bank apko liability nahi deta .
  5. BOM Credit card ke use se ap bina PIN ka use kie 5000 tak ki contact less payments kr skte hai .
  6. Balance Payments ko ap EMI me bhi schedule kr skte hai jisme ap apne use kie hue balance ko installments me pay back kr skte hai .

Bank of Maharashtra Credit Card kaise apply kr skte hai ?

Bank of Maharashtra Credit Card apply krne ke pura process bank dwara online rakha gaya hai jisme agar ap online ya offline apply krna chahte hai to ap BOM Credit Card Application ki official website par apply kr skte hai . Isme apko official website par ”  New USER Registration ” par click karke apni details fill krni hai aur credentials create hone ke bad apni requirement dal deni hai .

Application Form ko fill krke ap kisi near bank me bhi deposit kr skte hai . BOM Credit Card Application Form Link .

Apki request receive hone ke bad apko bank se call kiya jaega jisme apko BOM Credit card ki puri details de di jaegi . Agar Customer care se baat krke is credit card ko apply krna chahte hai to ap in contact points par apni application dal skte hai :

  1. Call : 1800 233 4526
  2. Call : 1800 102 2636
  3. Email : cards.customercare@mahabank.co.in

Bank of Maharashtra Credit Card apply krne ke liye kya chahiye ?

Credit ko apply krne ke liye kuch basic documents aur requirements hoti hai jo apko fulfil krni hoti hai jiske according apka credit score aur apki eligibility ko check kia jata hai . BOM Credit card ko apply krne ke liye kuch khaas requirements nahi mangi gayi hai – isme applicant ki age 21 – 65 hai aur wo job role par hai to is card ke liye apply kr skte hai .

Business Individuals ke liye BOM Credit Card apply krne ka criteria banks ki different policies aur business earnings par depend krna hai . Is me agar ap parents guarentee provide krte hai to students ya applicants above 18 ko bhi ye card issue kr diya jata hai .

Bank of Maharashtra Credit Card Helpline kya hai ?

Bank of Maharashtra Credit Card ko apply krne ke bad activate krne ke liye is process ko follow kare :

  1. BOM Credit Card ki official website par jae.
  2. New User Registration par click kare
  3. Mobile Otp / Email OTP se confirm kare .
  4. Passcode Create Kare
  5. Submit par Click kare .

Agar is credit se jude kisi bhi fraud ko ya kisi querie ko ap report krna chahte hai ya puchna chahte hai to ap BOM Helpline par contact kr stke hai . BOM Helpline Support Number : 1800 – 233- 4526 / 1800 102 2636. 

Must Read : Tiffin Service Ka kam Krke Kaise Daily 10 se 20 Hazaar Kaise Kama Skte hai ?

Bank of Maharashtra Credit Card kaise band krna hai ?

BOM Credit card application cancel krne ke liye ya is Card ko cancel krne ke apne near by bank branch me apko jana hoga aur ek application dena hoga jisme ap ” Application for Cancellation of BOM Credit Card ” likh kar bank me submit kr skte hai .  Apki application par bank drwara credit card services stop kr di jaegi .

Termination of Credit Card us case me delay kr di jaegi , jisme agar ap apna balance ya koi pending dues with the bank pay nahi krte . Agar ap Bank of Maharashtra Credit card apply krna chahte hai ya is se jude apke kuch sawaal hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *