Have you tried publishing your application on Google Play Store .
Do you know you have to Pay Google some fees to upload your application on Google Play Store ?
If you are an android developer then you must be knowing that for making an application more famous and known to audience , you have to apply for an Google Play Console account and upload your application on it for smartphone users to download them. If you go through play-store your apps will be available to more than million smartphone users to download your application. Through Google play console account you can publish as many android applications as you can and can monetise them from different ad networks .
[lwptoc]
For buying a google play console account , you have to make payment to google and it requires some special payment options to be used for payment . In this post , you will get to know about the entire procedure about buying your own Google play console online .
App Development and Publishing on Google
Agar ap ek newbie app developer hai ya ap sirf basic apps ko develop krne ki soch rahe hai to ap online hi apne app ko develop kar skte hai . Iske liye apko koi khaas app development knowledge ki ya koi course krne ki jarurat nhi hai bas apko ye dhyan rakhna hai ki ap jo b platform app banane ke liye use krne wale ho wo Google play policies ke according ho aur usme me se app develop hone ke bad apko use console me upload krne me koi problem na ae. Agar ap Kodular , ya MIT Inventor ya Thunkable jaise platform se app develop krte hai to wo apke liye bhot asan ho jata hai .
Kodular ya Thunkable jaise app inventor sites se ap bina coding jane koi b app develop kr skte hai aur use google pe publish kr skte hai . Google pe publish krne ka mtlb hai ki apko use Google Play Console pe upload krna hota hai taki wo sabhi smartphone users ko availaible ho jae aur log use download kr ske . Apke app par jitne jyada downloads ate hai utna jyada revenue ap acquire kar pate hai .
Buying Google Play Console Account
Google play console account google ka hi ek product hai jiski madad se sabhi app developer sabhi tarah ki android games , aur android apps google play store par upload karte hai . Jaise hi ap Android Studio se ya kisi aur app making platform se apna final app bana lete hai to uske bad apko usse Google play console account me login krke playstore par upload krna hota hai . Iske liye apko Google play console ko purchase krna hota hai .
Google Play console account ko purchase karne ke liye apko kuch fees bharni hoti hai jiska amount hota hai 25 USD, jo as per Dollar/INR rate lagbhag 2000 ke as pas ho jata hai . Apko ye one time fees pay krke google se Google Play Console buy krna hota hai. Buy Krne ke liye apke pas ek khas Debit ya Credit card hona chahiye .
Agar ap Google Console Buy karna chahte hai to uske liye apke pas is type ke Credit ya Debit Card hone chahiye :
- SBI Global VISA Debit Card
- SBI Global Master Debit Card
- HDFC Global Debit / Credit Card
- ICICI Global Debit / Credit Card
Agar apke pas in charo me se koi b card hai , tabhi ap Google Play console account buy kr skte hai . Agar apko Google play console buy karne me problem ati hai to ap hmari help se buy kar skte hai , uske liye ap niche comment section me buy krne ke liye comment kr skte hai.
Benefits of Buying Google Play Console Account
Google Play Console Account buy karne ke kuch khaas maksad hote hai jaise :
- Admob Ads approve krwane ke liye apke app ka Playstore pe hona bhot jruri hai .
- Facebook ki Ads use krne ke liye bhi apko apne app ko Playstore par dalna jruri hai .
- Ads se acha revenue kamane ke apke pas Playstore hi ek acha option reh jata hai .
- Google Console buy krke ap unlimited apps upload kr skte hai aur unlimited earn kar skte hai.
Google Play Console Account ki jo fees li jati hai ye ek one time fees hoti hai jisme ap Google console buy krke unlimted apps upload kr skte hai . Par ap Google play console ki ya Google publisher ki koi b policy violate kr dete ho to apke app ko remove kr dia jata hai . Aur agar ek account se apke 3 apps remove ho jate hai ya 3 violations apke account me ajati hai to apke account ko suspend bhi kia ja skta hai . Jis se ap phir kabhi apne apps ko playstore par upload nhi kar paoge.
Things to Know !
Google play console ki payment only one time payment hoti hai aur ye non refundable payment hoti hai .
Apko Google Console Account me koi apps upload ki limit nhi milti ap jitne chahe utne apps upload kr skte hai .
Apps me koi b meta problem nhi honi chahiye , jis se ap ke apps google play console se reject bhi ho sakte hai .
Toh Google console ki payment karte waqt apko dhyan dena hai ki upar die gaye debit card ya credit card se hi ap payment kr skte hai iske alawa apko koi bhi payment option waha par nhi dikhega.
Also read : MicroTek OxyMeter , Best Pick under 2000 : Best Oxymeters in India
Hope , you find this post interesting . If you have any queries related to buying a Google play console account , then do share your feedback comments down in the comment section.